ashyar rasool and naat poetry
ashyar rasool and naat poetry
Jab band ker aankh dunya se main ye chal basaa,
Dekh ker ghaflat aur badnaseebi apni main hansaa!
Rab ki ibadat men main mashghool wo insaan ban chuka tha,
Jo insaanon he ki takaalifon se anjaan ban chuka thaa!
Kisi yateem ki maine ne na kabhie kifaalat ki thee,
Aur na he kisi mazloom ki zalim k agay himayat ki thee!
Maghroor tha usper dunya mein jo kuch bhi maine paya thaa,
Ke yaad he nahi hai mujhko kis kis ka dil dukhaya tha!
Kabhie socha na tha ke ye waqt bhi kabhie aayega,
Jiska dil dukhaya tha wo meri sari nekiyaan le jaayega!
People are also searching these
- english naat poetry




