Latest Roman Urdu ghazal sms messages Collection with Sad and some time funny poetry . New or Latest Roman Urdu ghazal sms messages Collection are specially selected for the people with broken hearts.
kash main tere haseen haath ka kangan hota
tu bare pyar se bare chaao se bare armaan ke saath
apani naazuk si kalayee mein charhati mujh ko
aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein
tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko
main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata
jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti
tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata
raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
marmari haath kaa ik takiya banaya karti
main tere kaan se lag kar kai baaten karta
teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta
jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN
apani aankhon ko tere husn se kheraa karta
mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa
main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta
main tere jism ke aangan mein khanakata rahta
kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota
kash main tere haseen haath ka kangan hota
KOI TO HOTA….
Main jis ke dil ki kitaab benti,,
Main jis ki chahat ka khawab banti,,
Main hijr ke mosem ki lembi raaton main,,
Yaad ben ker azaab benti…
… … KOI TO HOTA…..
Jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota,,
Dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota,,
Main rooth jati manata mujh ko,,
ke chahai mera kasoor hota,,
KOI TO HOTA….
Main jis ke itna kareeb hoti,,
Na paas koi rakeeb hota,,
Main itna uus ka habeeb hoti,,
Ye silsila bhi ajeeb hota,,
KOI TO HOTA……..
meray kamray main baitho
or har ek shay ko dekho
book shelf main pari hoye
kitabain or dairiyan
maiz par rakhi hoye tasveerain
or guldaan main murjhaye hoye phool
tumhain batain gay
draaz main mojood cassetes
deewaron par lagay cards
tum par ayan karain gay
kay kessay meray armaano’n
nay teray khuab dekhay thay
agar ho sakay to kissi din
meray ghar aao
deewaron par khuday hoye
huroof
or bistar par naqsh bayqrari
tum pay ayan karay gi
kay meri aarzoo’oan nay kis
tarah tumhari aarzoo ki hai
or kessay meray khuabon nay
tumharay khuab dekhay hain
agar ho sakay to kissi din
meray ghar aao
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..
Share with us more Latest Roman Urdu ghazal sms messages Collection in comments section
People are also searching these
- hasin hath hindi ghajal
- new sairy hindi
- romantic urdu select quote sms
- sad roman guzal